Thursday, April 3, 2008

My Creation


Tum

tum hi dikhe har chehre mein,
tum na mile kisi chehre mein..

tumhara jana yeh kaisa jana hua?

Gubbara

ek gubbara tha
khwab ka;
phoota to,
tum hi tum
ho gaye har aur..

Kitab

zindagi ki kitab bhi ajib hai,
jo likha hua hai wohi likhte jate hain

padh nahin pata koi lekin..

Yaad Hai Tumhe?

yaad hai tumhe
woh jheel ke kinare
ghanto beetana

kabhi baaton mein
kabhi yun hi khamoshi mein
dhalte shaam ko dekhte huye

yaad hai tumhe
woh pani ki ladhai
aur duur pathhar phekne mein
tumhara hamesha jeetna

labon se chhalakati hansi
aankhon se beh jaya karti thi
us manzar ke liye manjoor tha
tumse har baar haar jana

yaad hai tumhe
woh aade teerche chehron ki
pani mein parchhayee banana

kabhi aake dekho
ab bhi tasveerein humari
wohin jami huyi hain..


Zard Aankhen

kai raatein jalake aankhen
lau tumhara bujhayaa tha maine
yaad ake kyun sinch gaye phir
zard aankhon ko behne ke liye

The Submission


dheere dheere main pighalta ja raha hun
ajnabi rangon mein rang apna khota ja raha hun

sirf naam humara, tasveer to hai waqt ki rachayi..

Chehra

behta waqt bhi nishaan na mitaaye
dhundla aaina bhi sach hi dikhaye

jama jo chehra nazar mein, pighalta nahin..


Rang

din dhala hai chhod ke parchhayee tumhari
sham bhi layi hai beiraadatan noor tumhari

kachhe rang tumhare kitne gaaddhe hain...


Ashk

Beh jaane do dariya
Raastein aur bhi banenge

Khwab ka jala ashkon se bujhega..


Aasan

Chalo aaj main ban jata hun khuda
Badal deta hun kuch aur taqdeeren

Bas todna hai,rulana hai..aasan hai


Lehren

Tum ho duur, bahut duuuur!! Wahan,
Samandar aasman se milta hai jahan

Roklo lehron ko, aankhen nam kar jati hain..



Kahani

Ajib kahani hai is kahani ki
Anth tay tha, phir bhi
Panne bharte chale gaye
Use badalne mein..
Anth to na badla par
Sihayee baki reh gayi
Ab likhen to kya likhen?


Paheli

Har baar lagta hai tumko samajh liya
Har baar ek nayee peheli ban jate ho

Zindagi si bante ja rahe ho tum..


Zindagi

Jo tujh ko samjah lun zindagi
To khuda na ban jaaun main ?


Khwab

Khwab tha shayad, toot gaya
Zindagi itni meherbaan kahan

Kaash! Neend thodi aur gehri hoti..


Tohfa

Ek tohfa dhundne chala tha tumhare liye..

Mahtaab-e-noor se roshani maangi to khabar hua
Chandni aasli to aur kahin hai..

Sard-e-aaftab se garmahat maangi to khabar hua
Meethi dhoop aasli to aur kahin hai..

Nasiim-e-sahar se taraawat maangi to khabar hua
Sukoon aasli to aur kahin kahin hai..

Khuda se koi naa-yaab tohfa maangi to khabar hua
Woh to tum ho, bas tum hi..

Main tumhare liye kya tohfa laaun ?

Bhulna

Aur ek subah aaj, raat leke hai ayi
Chubhti chandni ojhal aagosh mein samayi

Phir bhul gaya ki bhulna tha tujhe..


Aadat


Mujhe tumhari aadat si ho gayi hai

Woh aankhon ki baatein
Woh baaton ki raatein
Woh raaton ki sapne
Aur sapno mein tum
Mujhe tumhari aadat si ho gayi hai

Woh jhoot moot ka gussa
Woh gusse mein pyar
Woh pyar bhara dil
Aur dil mein tum
Mujhe tumhari aadat si ho gayi hai

Woh muskata chehra
Woh chehre pe zulfen
Woh zulfon ka badal
Aur badalon mein chand 'tum'
Mujhe tumhari aadat si ho gayi hai

Mujhe zindagi ki aadat si ho gayi hai..


Tum Mujhe Ab Yaad Nahin Aate


Tum mujhe ab yaad nahin aate
Nahin aati ab chand shab ki ungli thame
Nahin bhigati mujhe aur baarish ki boondein
Nahin aati hawa saraabor tumhari khusboo mein
Tum mujhe ab yaad nahin aate..

Yeh kaisi jeet hai jisme har pal meri haar hai..

Zindagi

Aye zindagi
Main tujh se haar nahin maanunga
Mujhe pata hai
Tu mere sath khel rahi hai saanp-siddhi
Aaj daao teri hai
Main kuch fisla jaroor hun
Hara nahin
Kal baaji meri hogi
Main tujhe hathon se fisalne nahin dunga

Aye zindagi
Main tujh se haar nahin maanunga
Mujhe pata hai
Tu ruthi hui hai jhoot moot ki
Main jo waqt nahin bitaye tumpe
Sajane sawarne mein
Woh sab lautaunga suud ke sath
Ab muskura bhi do
Main tujhe aur kabhi ruthne nahin dunga

Aye zindagi
Main tujh se haar nahin maanunga
Mujhe pata hai
Tu thodi si bechain hai
Tere mathe pe yeh shikan
Mere ghamon ki wajah se hai
Ab to yeh faisla hai
Aaj raat ek nayee subah hogi
Chand ki leyp se main teri thakaan mitaunga
Main tujhe haar ne nahin dunga..

Boondein

Darakhton se sikha tha
Ashk-e-ravaan chhupana
Hawa ki tarah jo tum saamne aye
Aankhon ke patte boondein barsane lage

Sanaa

Sare alfaaz loota bhi dun tum pe to,
Kahan kharid paaunga tariif tumhari

Kaash tumhe bhi aati nazron ki zabaan

Aftab Mahtab Aur Tum

Aftab jalte jalte thak gaya tha
Use talash thi chandni ki leyp ki

Lekin mahtab ki thi usse bair purana
Woh ojhal ho jati uske ane se pehle hi

Phir khuda ne tumhari nemat bakhshi
Mahtab ko shikan aur aftab ko khushi

Dastak

Khidki aur darwaja maine band karke rakha tha
Sari raat hawa dastak deti rahi, toofan tej tha

Koshis kitna bhi karlun,tum yaad aa hi jate ho

Indradhanush

Aasman kala pad gaya hai ghane badlon se
Baaris se dhoya lekin indradhanush reh gaya

Kya main kabhi tumhe mita paunga yaadon se?

Har Pal

Tum mujh mein dafn ho kahin,
Main tumhe har pal jee raha hun

Tum mujh mein zinda ho kahin,
Aur main har pal mar raha hun

Khwahish

Aaj is pathar ko khuda banane ko jee chahta hai
Aur duaon mein tumhe maang lene ko jee chahta hai

Tere jate kadmon ki aahat halke halke khamosh ho gayi
Lekin der tak unke ane ki intezar karne ko jee chahta hai

Bahut karli koshis-e-nakam tumse nafrat karne ki
Thoda aur pyar karne ko aaj jee chahta hai


Tum

Aise ho shamil mujh mein tum katra katra,
Ke aaina bhi pooche mujhse, "tum kaun ho"?

Kabhi aana tum milne tumse..

Sirf Tum

Tum hi tum ho mere jeevan mein
Sason mein ho aur dhadkan mein
Phoolon mein khusboo ki tarah
Tum ho samaye mere kan kan mein

Yeh duniya jalti sooraj to
Tum ho chhaya sheetal
Jine ki kalpana nahin kabhi
Tumse bichhadke ek pal

Meri jeevan ki rangmanch pe
Aur kisiki nahin hai bhoomika
Tum se hi judi kahani meri
Tum hi to ho meri nayika

Ek hi tamanna hai ab man mein
Payah chhanke teri mere angan mein
Do pal ki jeevan hi sahi
Lekin ho sajan tumhari bahon mein

Nishan

Tumne kahin chhoo liya tha shayad mujhe
Bekhabar tha, anjaan tha, nadaan tha
Ab jab tum nahin ho
To nishan ubhar ke aa rahe hain..

Nirvana

Teri yaad ganga mein baha aaya hoon
Jism se rooh ko judaa kar aya hoon..

Lakeer

Tum nahin na sahi, woh meethe afsaane reh jayenge
Zakhm na sahi, sukhe ashkon ke nishaan reh jayenge

Pani ki lakeer tere pyar ko hatheli mein bun liya humne..


Naya Khuda

Har pal teri ibadat har pal tera hi jashan hai
Kashi kaaba main na jaanu tu hi meri quaran hai

Dharam badal gaya hai mera tere pyar mein..

Chand Ki Parchhayee

Ho pani ka ghar mera aur pani ka aangan,
Chand ki parchhayee se honge woh roshan

Aaj phir ana tum khidki pe..

Nasha

Phoolon ka jhoota guroor toota,
Bhanwaron ne naya suroor loota.

Sehma chand soche kahin raat ko na niklo tum.


Yaad

Aaj phir main hara khud se
Aaj phir tum mujhe yaad aye

Yuun to tum nahin ho, lekin tum kahan nahin ho..

Khusboo

Aasman pe mere paon ki zameen hai,
Har kali raat ka rang bhi rangeen hai

Kitab mein chhupi sukhi gulab mein abhi bhi tumhari khusboo baki hai..

Khoon

Mujhe aaj koi aur na rang lagao...
Purana laal rang ek abhi bhi taaza hai.

Armaano ka khoon hue zyaada din nahin hua hai...


Holi

Tum pe main kya rang daalun,
Rango mein to tum sarabor ho.

Khuda ne khub kheli hai holi indradhanush se..


Tasveer

Thodi si rang indradhanush ki, kuch boondein oons ki,
Aur phir kuch mithi kirne subah ki uun jadon ki dino mein.

Khuda ne tumhari tasveer mein mehnat bahut ki hai..


Talash

Na dekha hai abhi tak use
Phir bhi usika talash hai
Kahin to hogi,kabhi to milegi
Dil ko yeh ehsas hai

Chand dekhe to sharma jaye
Aisi hogi woh haseen
Usko bhi hoga mera intezar
Hai iska mere dilko yakeen


Udan

Kal badlon se takra gaya main
Tumhare khayalon mein jo khoya tha

Zameen pe paon kahan lagte hain ab mere


Lamha Lamha

Lamha lamha mera mujhse akhtiyar kho raha hai
Katra katra mera tere rang mein dhal raha hai


Intezar

Din to gujar jate hain
Par raton ka kya karein
Har ek pal sadiyan ho jate hain
Tere ane ki intezar mein

Sooraj ake chala gaya
Chand tarein bhi sath chhod gaye
Ginti ke liye tarein kam ho gaye
Tere ane ki intezar mein


Iltaza

Thaire pani mein kankar de mare
Thoda aankhon pe kabu to kije

Khamosh samandar mein toofan le aye
Chehra chandni pe parda to kije

Sapno se kya ranjish hai aap ki
Do ghadi ki neend ki ijajat to dije

Dard-e-dil ka dawa na sahi,
Qatlon ke fairist mein
Humara naam darz to kije


Baaris

Pehli baaris,soundhi khusboo
Mehki yaadein, gila mann

Ashkon ne phir sicha aaj banjar zakhmo ko


Pyar

Aankhen lafzon ka sath nahi de rahi thi,
Shayad hogi unki bhi kuch majboori

Pyar hasil hi nahin,qurbani bhi hai


Toofan

Kitne ehtiyat se,dabe paon
Chale gaye woh zindagi se

Toofan kyon chhod gaye pichhe?


Dhul

Yeh mana is dauran kuch saal beet gayee hai
Phir bhi aankhon mein chehra tumhara samayee hui hai

Kitabon pe dhul jamne se kahani kahan badalti hai..


Kyon

kyon aaj mera mujhpe jor nahin hai
khamoshi hai har disha,kyon nahin shor kahin hai

Kyon aaj yeh kadam mere saath nahin de rahi hai
Aawaz jaise bula rahi hai,lekin pichhe to koi nahin hai

Kyon aaj lag raha ki maine kuch khoya hai
Mera hi saath na deti kyon aaj mera yeh saya hai


I

I will be there when you will be alone
I wlll be there when all around you will be gone

I will be there when you will be in tears
I will be there when you will be among fears

I will be there when you will be confused
I will be there when everyone else would have refused

I will be there when you will be in dark
I will be there when you will be in shock

I will be there in your fall
I will be there when you call

You may not know,
I am there NOW

You may not require,
but,I shall always be THERE

--Bibhuti